Alexa:
Blogging platform ek Esi jagah hai Jahan aap apne Views logon ke sath shere krte ho.Vaise to jada tar log(About 90%) Paiso ke liye blogging karte hain.
Vaise kya aap jaante ho ki Ap agar koi bhi blog ya website bnate ho to Uspe Aane wali Traffic and Quality ke hisaab Se worldwide sabhi blogs/websites ki Ranking hoti hai.
Ye Sari Ranking hame Alexa se PTA Chalti hai.
Alexa Amazon.com Ki Ek Service hai.Iska Kaam siraf sabhi websites ki Ranking,traffic report,Traffic me ane wali Male-female Ratio,bounce rate,aur ek visitor NE kitne pages visit kiye etc ye sab btana hai.
Alexa ki service pehle sabhi ke Liye free thi par Jab se jaada use hone lagi tabse ye Sservice paid ho Chuka hai.
Lekin aap Kisi bhi Site ka Rank check kar sakte hai.Rank check krne ki Sewa bilkul Free hai.
Vase Alexa Ranking Kai Cheeze PE dependent hai.Aap isko Jaldi Hi improve kar sakte ho Aur ye kaam Jada mushkil bhi nahi hai.
Vase to Alexa Mainly apki Traffic and Seo ke hisaab Se Apko Rank deta hai par fir bhi Ap apna Rank Kuch Tricks and Tips se Improve kar sakte ho Jo ki mai apko Aaj Is post me btauga.
To chaliye mai apko btata hu ki kaise aap Alexa rank improve kar sakte hai.
Tips and Tricks to Improve Alexa Rank(Hindi+Urdu)
1.Add Alexa Widget to Your Blog:
Ye Method sab se Acha hai.Agar aap apne Blog me Alexa Widget Add karte hain to Alexa apke Blog PE Aane wale sare traffic ko Record krta hai aur Uske hisaab Se apko Harek visitor ke hisaab Se rank deta hai.
Ye method aab se acha hai Chaliye ab jaante hai ki Alexa Widget kaise add kare blog me.
How to Add Alexa Widget in your blog:
1.Sab se pehle Blogger par sign in kariye aur Apna Blog open kriye.
2.Ab layout me Jaiye aur Wahan "Add widget" PE click kriye.
3. Uske baad "Html Java script" Option PE click kriye aur wahan Neeche diye Gaye code ko Paste kar dijiye.
<a href="http://www.alexa.com/siteinfo/cyberheroz.in" rel="nofollow" target="_blank"><script src="http://xslt.alexa.com/site_stats/js/t/a?url=cyberheroz.in" type="text/javascript"></script></a>
Is Code me Apko Red Colour me Likhe Hue CyberHeroz.in ki jagah Apne Blog ka Link Daalna Hoga aur Wahan Paste karke Save krna hoga.
Save hone ke baad permanently save krne ke liye "Save Arrangement" PE click kriye.
Uske baad Apne blog ko View krke dekheo wahan Alexa Widget Agya hoga.
Is se ap apne Rank ko boost kar sakte ho.
2. With Backlinks:
Is method se aap Bhot jaldi hi apna Rank Increase kar sakte ho.
Iske liye Apko Jaada se Jaada Blogs PE Comments karne Chaiye. Ap NE dekha hoga Bhot sare blogs pe Comment Love hota hai.
Matlab Jab ap comment kare to neeche ek Name,Email and Website URL ki option hoti hai.
Aap aesi websites par URL box me apni website ka URL dalke Comment kriye aur Is se jab koi apke Name PE click krega to wo apki Site PE pohanch jayega.Isko Backlink Bolte hai.
Aap din me 15-20 Sites PE Comment kriye aur Backlink se Apki Site ka Rank 10 Din me 20-30 Lakh tak gir sakta hai agar aap daily ye Method use kroge.
3.Daily Post karke Alexa Rank Improve kriye:
Ye method Sab se better rHega Kyuki Is se apka Traffic increase hoga aur Apka Alexa Rank Automatically Improve hota rahega.
Agar Daily post kroge to Google apke Post ko acha rank degi aur Apko Acha traffic Milega.
Google Ki traffic sab se Achi Hoti hai Alexa ko Improve karne ke liye Is liye apko Google se Jada se jada traffic lene ki Koshish krni Chaiye.
4. Improve Alexa by Shering on facebook:
Agar ap apne Blog ko Facebook PE shere karte hai to Is se apka Alexa Improve hota hai Kyuki Facebook Ka Global Rank 2 hai. Agar ap aesi Big website PE apne Blog ko shere krege to apko bhot Acha Backlink milega aur Apka Alexa Rank Bhot Kam hoga.
5.Improve Alexa by Writing Review post on Alexa on your Blog:
Agar ap apne Blog PE Alexa ko Contribute karke review post Likhte hai to is se apke blog ka Rank bhot kam hoga.
Reason ye hai ki Agar aap Acha post likhege to Alexa wale khush hoge aur Apka Rank increase krege.
Is liye apko Alexa ke liye Review post likhni chaiye.
6. Improve Alexa by writing good seo friendly posts:
Aapko Hamesha apne Blog PE Seo Friendly Post likhni chaiye. Is se Apki Traffic to Increase hogi hi saath me Apki Alexa Ranking bhi Badhegi.
Reason ye hai ki Seo Friendly Post se apki post Google me ache rank PE jayegi jis se apko Acha rank milega and Apki Traffic ke sath sath apka Alexa bhi Increase hoga.
7. Improve Alexa by Verifying it with Alexa:
Agar Aap Alexa ki website PE Signup krke Verify karte hai to Is se Alexa apki Site ko aur bhi ache se track karti hai.
Is se Alexa apke Site ki Ranking Aur bhi jaada Accurate btati hai aur apki Ranking bhi improve hoti hai
Is liye apko Apni Site ko verify krna chaiye.
Vaise to bina verify ke bhi aap Apna Rank Increase kar sakte ho in sab tips ka use karke par Verify krke Apko Accurate Rank PTA chalta hai.
To Dosto apko Ye post kaisi Lagi?
Aap Humko comment karke Jarur Btaiye aur agar apko kahin problem ho to ap comment krke pooch sakte ho.
Happy blogging😊
0 comments: