Saturday, 30 April 2016

Deleted Facebook Message, Photo And Video Kese Vapas Laye

Posted by desai bhikhu  |  at  05:45

Facebook Users ke liye ye bahut useful tricks hai. Facebook ki population aaj world ke bahut se country se adhik hai. Iske users ki population billions me hai. Iski popularaty facebook users ke numbers se aap jaan sakte hai. Facebook pe aap new friends bana sakte hai.

Bahut se log facebook ka use message chat, photo share, emotions ko share, videos share karne ke liye karte hai. Lekin kya apne socha hai yadi apka facebook friend se kiya gaya chat message, ya phir apka upload kiya gaya video, images galti se delete ho jayega toh usye recover kaise kar sakte hai? Dont Worry mai apko batunga kaise Deleted Facebook message, Photo, images, Videos recover kar sakte hai.
    Ye Facebook ka official features hai, jisye koi bhi use karke facebook ke deleted photo, message, video ko recover kar sakta hai. Lekin bahut se facebook users ko nahi pata hai ki facebook me deleted images, message and videos kaise recover karte hai. Agar apne koi bhi pictures, message aur videos ko facebook se delete kar diya toh isye recover karna mushkil hai. Lekin mai apko batunga kaise facebook ke deleted message, images, videos ko recover kar sakte hai. Facebook apke sabhi data ko archive me backup karke save rakhta hai.

     Deleted Facebook Message, Photo And Video Kese Vapas Laye
    Step by step process jane Facebook me deleted message, photo video recover kaise karte hai.
    Step 1. Sabse pahle General Account Setting pe Click kare.
    Step 2. General setting open karne ke baad Download a copy of your Facebook data pe click kare.



    Step 3. Next page open hoga, jisme Start My archive pe Click kare.



    Step 4. Ab apse apka facebook account ka password pucha jayega. Ye facebook ka security step hai. Password enter karke security complete kare. Submit pe click kare.
    Step 5. Kuch seconds wait kare, phir apna email id open kare, Apko facebook se ek Mail aya hoga jisme Downloading Link hai. link use karke data download kare.
    Step 6. File ZIP format hai, islye File ko Unzip kare. Ab folder open kare apka deleted message, images, videos, pokes, friend list recover ho chuka hai.
    Sabhi files .html format me hai. File pe double click karke apne favorite browser se open kare. Open hone ke baad aap apne sabhi facebook data ko acess kar sakte hai. i hope apne facebook ke deleted data ko recover kar liya hai. Apko facebook data recover karne me koi bhi problem aa rahi hai toh comment karke puche.

    " Dosto agar apko koi problem ho to comment karna or mera ye post achha lage to share karna."

    Tagged as:
    About the Author

    Write admin description here..

    0 comments:

    Subscribe
    Get our latest posts directly in your email inbox.

    What they says

    Contact information

    Copyright © 2013 Insurance. Blogger Template by BloggerTheme9
    back to top